SBI ATM/Debit card aap Internet banking ke jariye online apply kar sakte hain or apna Card apne home address par receive kar sakte hain iski jaankari main aapko already bata chuka hu.Ek user ne mujhe poocha ki Card receive karne ke baad usko activate karne ke liye kya hume bank me jana padega? Aur sath me PIN ke liye bhi bank me jana hoga?
Mera jawab hai – Aaapko card activate karne ke liye or apna PIN haasil karne ke liye bank me jaane ki jarurat nahi hai, yah kaam bhi aap online internet banking par kar sakte hain aur wo bhi sirf 5 minutes me.
Mera jawab hai – Aaapko card activate karne ke liye or apna PIN haasil karne ke liye bank me jaane ki jarurat nahi hai, yah kaam bhi aap online internet banking par kar sakte hain aur wo bhi sirf 5 minutes me.
To aaiye dekhte hain SBI ATM/Debit card receive karne ke baad usko online activate kaise kare aur apna PIN kaise haasil kare.
Activate Your New ATM/Debit Card Online
1
Sabse pahle aapko Internet banking me login karna hai. https://www.onlinesbi.com par visit kare aur apna user ID and password enter kar login kare.
2
Net banking me login karne ke baad aapko e-Services tab par click karna hai.
- e-Services tab me left side me aap kayi options dekh sakte hain, usme aapko ATM CARD Services par click karna hai.
- ATM CARD Services me aapko New ATM Card Activation option par click karna hai.
3
Ab next screen me aapko apna Account number select karna hai aur ‘Enter ATM card number” me apne card ke 16-digit number enter karna hai. Ek baar fir se card number enter kar Activate par click kare.
4
Ab next screen me aapko Confirm par click karna hai.
Confirm par click karne ke baad agli screen me aapke registered mobile number par OTP receive hoga jo ki aapko enter karna hai aur confirm par click karna hai.
Done! aapka ATM/Debit card successfully Activate ho gaya hai aur ab aapko sirf uska PIN generate karna hai. PIN generate karne ke baad aap kisi bhi ATM par uska use kar sakte hain.
Apne New ATM card ka PIN online Generate kare
Aapka New ATM/Debit card aapne online activate kar liya hai ab uska use karne ke liye aapko PIN chahiye, PIN ke liye aapko bank me jaane ki jarurat nahi hai. Yah kaam bhi aap Internet banking par kar sakte hain.Apne New ATM/Debit card ki PIN online kaise generate kare iske bare me read kare below article.That’s All! Ab aap ready hain apne new ATM/Debit card ka use karne ke liye. Ab kisi bhi ATM machine par visit kare aur use kare.
No comments:
Write commentAdd Your Comments, and Your Thought