05 August, 2017

Blogger Me Floating Social Share Button kaise Add Kare?...

By:   Last Updated: in: , ,

Hello friends, aaj main aapko ek aise tool ke baare me batane ja raha hu jo multi-featured hai, khas kar hamare blogger user ke liye jinko aksar apne Blog me Social sharing buttons add karne me problem hoti hai.WordPress par to aapko kai plugins mil jayegi social sharing add karne ke liye, but blogger users ko script/coding par depend rahna padta hai.Yaha main online aisi popular tool ke bare me bata raha hu jo aapki Social sharing icons ki problem hi solve kar dega. Main jis Tool ki baat kar raha hu Wo hai “Share This”.


  1. Image Ko SEO Friendly Kaise Banaye?...
  2. SBI Credit Ya Debit Card Online Activate Kaise kare?


Blogger Me Floating Social Share Button kaise Add Kare?...

Share This Tool Kya hai?

Share This online multi-featured Social sharing Tool hai, jiski help se aap apni website par Social sharing widget easily add kar sakte hain bina kisi coding knowledge ke.Yah Online sharing tool aapko easily kisi bhi wordpress, Blogger, tumblr, joomla etc type website me Social sharing icons add karne ki facility deta hai.
Aap is online Tool ki help se aap apni website par social sharing icons easily add kar sakte hain. Aap alag-alag location par in social sharing icons ko add kar sakte hain. Yaha main aapko Floating sharing icons Blogger me kaise ADD karte hain uske bare me bata raha hu, Let’s See How:-



  1. ATM Par Apna SBI Registered Mobile Number Change kaise Kare
  2. Create a Free Website(blog) in 3 Minutes Full Guied in hindi


1: ADD Floating Sharing Icon in Blogger

Floating Share buttons blogger me add karna bahut easy hai share this tool se. Aapko just code generate karna hai and apne blogger me paste karna hai.
Blogger Me Floating Social Share Button Kaise ADD Kare


1: Sabse pahle Share This online sharing tool open kare. Yaha aapko apna account create karna hai. Signup par click karke account create kare. And Login kare.
2: Ab Get sharing tools par click kare aur yaha “Website” platform select kare. Aap yaha tumblr, wordpress and other platform par bhi sharing tool add kar sakte hain.
share this

3: Ab agli screen me aapko alag-alag social buttons and Bars show karegi. Yaha aap dekh sakte hain ki Share this aapko har jagah sharing button add karne ki feature deta hai. Yaha hum Floating bar add kar rahe hain isliye “SideBar” ka option select kare. (See below image)
share this sidebar

Sidebar select karne ke baad NEXT par click kare.
4: Next screen me aapko mouse se Drag and Drop karke Social icons add karna hai. Aapko jo icons show karna hai use drag karke selected services me add kare. Docking position me aap icons left-right side show kar sakte hain. (See below image)
share this add


5: Get Code par click karne ke baad 2 codes show karenge, wo code hume apne Blogger me add karna hai.
get code share this


  • place these script tags “head” section of your HTML: Yah code aapko Template » EDIT HTML » head ko search kare or isko head ke niche past kare and just ke neeche code paste kar de. Now Save Template.
  • Now,put these scripts….: Yah code aapko Layout me Add Gadget me paste karna hai. Apne Layout par kisi bhi jagah ADD Gadget » HTML/Javascript select karke code paste karke save kar lena hai. That’s it Now see your Blog.
Conclusion
Waise Aaj kal new Blogger themes me aapko share icons provide karaye jate hain. But yaha maine aapko Floating sharing icons add karne ki tip di hai. I hope aapko jarur pasand aayi hogi.comment karna na bhule and share jarur kre.
THANK YOU ALL READERS.........

2 comments:
Write comment

Add Your Comments, and Your Thought