01 February, 2017

BHIM App Kya hai -Download aur Upyog Kaise Kare ! Full Guide In Hindi

By:   Last Updated: in: , ,

 India Me 500 aur 1000 Rs. Ke Note Band Hone ke bad India me Cashless Transaction ko badhava mila hai. PM Narendra Modi Ki Man Ki Bat ko sunkar Aisa lagta hai ki Unka vichar pure desh me cash less transaction yani Bina Cash ke Online Payment par hai.  Article  Me Hum apko Batayenge ki BHIM app kya hai aur kaise download, use kar sakte hai.Cashless Transaction Ke sath ek aisy application 30 Dec.2016 Ko Launch Ki Jiska Naam BHIM app hai
BHIM App Kya hai -Download aur Upyog Kaise Kare ! Full Guide In Hindi


Bhim app Kya hai

Online Cash Payment aur Received karne Ke liye BHIM app ko taiyar kiya gya hai. Phele Paytm aur Freecharge Jaisi application thi jisse online transaction jaise Mobile recharge karna , Bill Payment karna , Online Cash Payment karna in apps ka work hota hai. Ab aap In Sabhi Dusri applications Ki Jagah par BHIM app Use kar sakte hai. Akele Is Bhim application me apko Sare Online Payment option mil Jayenge

(भीम ऐप के बारे में जानकारी )

BHIM ka Pura Naam Bharat Interface for Money hai. Aur Isko Special Cashless Transaction Ko badhava dene ke liye Modi Ji dwara launch kiya gya hai. Is application Me ek Bank se kisi other bank Me UPI ki jariye transaction hota hai.

BHIM APP Download Kaise Kare

BHIM application Ko filhal Android User Ke Liye Launch kiya gya hai Ye abhi IOS User Ke Liye Bhi  available h. Is application Ko NPCI ( National payment corporation of india) Ne Banaya hai.
Android User Bhim Application ko Download Karne Ke liye Neeche Click Kijiye

BHIM app Ka Kaise Upyog Kare
Mobile Me Bhim app ko Install Karne Ke Bad usko Upyog Karne Ke Bare me jaan Lena chahiye. Jab Baat paiso ki aati hai to thodi Attention honi chahiye aur Gyan Bhi Pura Hona chahiye: Bank UPI Base par work karne wali Is application ko upyog karne Ke liye apka Bank account Hona jaruri hai
Sabse Phele app apni BHIM application Ko Open Kijiye. Open Karne ke Bad Ye apse apki language Ko Puchega. App Hindi Ya English Kisi ko Bhi select kar sakte hai




BHIM App Kya hai -Download aur Upyog Kaise Kare ! Full Guide In Hindi

Language select karne ke bad apko Second option Par NEXT Par click karna hai. Uske Baad 3rd Number Par BHIM application Ke Kuch Feature Ke Bare Me Bataya jata hai fir apko Next karna hai


Uske Bad apko Apna Mobile Number Verification Karwana hota hai Jisme Apko apni Wo sim select karni hoti hai jo Apke Bank Me Registered hai. Aur Us Par Click karne Ke Bad apko Next Par click karna hai jiske bad Bhim Application se Ek SMS Verification Ke Liye Jayega jiska Shuru Me SMS Charge Lag Sakta hai. Us Samay apka Internet Connection On Hona chahiye aur Sim Me Thoda Balance hona chahiye
Uske Bad Apka Number Verify ho Jayega. Uske Bad Apko Ek pass-code generate karna hota hai ki 4 Digits ka hota hai Jo ki app apne man se daal sakte hai. uske bad us pass-code ko confirm karne ke liye dubara daala jata hai.





BHIM App Kya hai -! Full Guide In Hindi

Pass-code set karne Ke bad apko Bank Select karni hai jisa ki app image me dekh sakte hai mene HDFC bank select kiya aur Mere Bank account Number Ko aur Account detail ko automatically is application ne Show kar diya





BHIM App Kya hai -! Full Guide In Hindi

Aur Uske Bad Apni Jo main Profile Show Hue hai wo Aa Gyi hai. Jisme Payment karne ka aur Payment Receive karne ke option available hai.
QR Generate karne aur QR Scan karke uska Payment karne Ki option isme available hai. Ye New application hai aur Dheere dheere ye develop aur hogi jisme new feature bhi aayenge.

BHIM app Ke Feature ke Bare Me

  1. BHIM app se app Online Bank Me Se hi Dusre Bank Me Paise Transfer Kar Sakte hai
  2. Customer aur Shopkeeper Ke Bich Me Payment lene aur Received karne Ke liye Ye application Saral bhi hai
  3. UPI Base Par work Karne Wali Is application se kisi bhi bank me Paise bheje jaa sakte hai
  4. Isme Payment karne Ke liye payment address mobile Number hota hai. JO ki Bank Me Registered aur BHIM app Me Registered hona chahiye+
  5. Ise Bina Internet Ke Bhi Use Kiya Jaa Sakta hai. Simple Mobile Me *99# dial karke UPI banking Ki Jaa Sakti hai

BHIM application Charges:

Itne Feature wale Application Ke Bare Me Soch kar lagta hai Ki Iska charge jyada hoga. ParBHIM application Ka Koi charge nhi hai ye bilkul free of cost hai. Par Ha Neft aur IMPS ka Charge Bank Dwara Liya jaata hai.

BHIM application Supported Bank List:

Lagbhag sabhi Bank Ko BHIM application Ko support kar sakta hai
– Allahabad Bank
– Andhra Bank
– Axis Bank
– Bank of Baroda
– Bank of Maharashtra
– Canara Bank
– Catholic Syrian Bank
– Central Bank of India
– DCB Bank
– Dena Bank
– Federal Bank
– HDFC Bank
– ICICI Bank
– IDBI Bank
– IDFC Bank
– Indian Bank
– Indian Overseas Bank
– IndusInd Bank
– Karnataka Bank
– Karur Vysya Bank
– Kotak Mahindra Bank
– Oriental Bank of Commerce
– Punjab National Bank
– RBL Bank
– South Indian Bank
– Standard Chartered Bank
– State Bank of India
– Syndicate Bank
– Union Bank of India
– United Bank of India
– Vijaya Bank




  1. SBI Freedom App Se Smartphone par Banking Kaise kare?
  2. SBI ATM/Debit Card Online Activate Kaise kare

Final Words:

Government Dwara Launch Is application Se hum Online Bahut se transaction kar sakte hai jisse cashless transaction Ko fayda milega aur Corruption Bhi Kam hoga. Ye application Bilkul Safe hai aur Aage Isme aur Bhi Feature aayenge. BHIM application kya hai aur kaise kam karta hai iske Bare Me apko samjh Me aa gya hoga.
I hope ki Yh Post apko pasand aayi hogi ,ha to is post ko share kre and koi problem ho to comment jrur kre
THANK YOU ALL READERS.SHARE THIS POST

7 comments:
Write comment
  1. Thank you for sharing such great information. It has help me in finding out more detail about Upi App Download i am interested and would like to know more about this field and wanted to understand the details about Upi

    ReplyDelete
  2. bhim application is very easy and faster payment gateway.
    bhim app for android available on play store.
    bhim app application is connect any banks .
    bhim app for androidconnect directly your banks account.

    ReplyDelete

Add Your Comments, and Your Thought