World ki sabse popular mobile messaging app WhatsApp par ab aap Video calling bhi kar sakte hain, ji ha facebook owned whatsApp ne Video calling ki feature just abhi-abhi launch kar di hai.WhatsApp – is waqt sabhi platform Android, iOS, Windows Phone and Windows PC par available hai. In sabhi Platforms par ab aap Video Calls kar sakte hain. Iske pahle aap whatsApp par Internet ke through voice call kar sakte the, lekin ab aap Video calling bhi kar sakenge.Abhi-Abhi Google ne video calling ke liye Duo App launch ki thi, jo ki sirf video chatting ke liye develop ki gayi hai.
WhatsApp par Video Calling Kaise kare?
WhatsApp messenger ki latest update me is feature ko implement kiya gaya hai isliye make sure aapke smartphone me installed WhatsApp app up to date ho.Video calling ke liye aapke smartphone me front camera hona jaroori hai. Ho sakta hai Rear camera bhi work kare but maine wo test nahi kiya hai
Android Phone
Android smartphone me WhatsApp ke through video calls karne ke liye Chat box open kare, usme Call ka button dekh sakte hain.
Call Button par jab aap Tap karenge to aapko 2 options show karenge – Voice Call and Video Call
Video Call par tap kare. Tap karte hi saamne wale person ko calling hogi aur call accept karne ke baad aap uske sath Video chat kar sakte hain.
Windows Phone
Windows Phone smartphone use karne walo ke liye bhi yah good news hai ki video chat aap bhi WhatsApp par kar sakte hain.Windows Phone me apne friends ko video call karne ke liye chat karte samay Call button par tap kare.
Call button par Tap karte hi aapke saamne screen par 2 option show karenge – Video call and Voice call. Both options me Video call choose kare.
Tap karte hi calling start ho jayegi.
Video Call Slow Internet par bhi Work karegi?
Mere smartphone me Vodafone 3G plan activated hai jisme 300-400 kbps ki speed mujhe receive hoti hai, us speed me main kafi achhi tarah se video call kar sakta hu.WhatsApp par Video chat karne ke liye jaroori hai ki aapka Internet fast ho. Waise 3G me yah normally work karta hai, 2G me sayad kafi slow work kare.Data use ki baat kare to video send and receive hota hai to basically internet data kafi use hoga. Lagbhag 1 min me 15-20 MB data aapka use ho sakta hai.
To dosto finally sabse most awaited feature Video calling ab WhatsApp par bhi available hai, ab aapko kisi other app ki jarurat sayad na pade.
No comments:
Write commentAdd Your Comments, and Your Thought