BlogSpot ek bahut hi simple blogging Platform hai. Lakin blogspot blog ko bhi aap SEO friendly bana sakte hai. Bahut ese features hote hai jo ek new blogger ko pata nahi hote. Aap un features se apne blog me search se jyada traffic la sakte hai. Aur apni har post ko automatic 2-3 hours ke under google search me index bhi kara sakte hai. Uske liye aapko blogSpot me kucch features ko enable karna padta hai. Example: Meta Tags, Robots.txt File, Custom Robots Tags and More to aaj is post ke jariye me aapko blogspot ke SEO features ke baare me bataunga. Jisse aap apne blogspot me advance SEO setting karke apne blog ka Traffic Increase kar sakte hai.
Mujhe blogspot join kiye 1 years ho gaye. Maine blogger blog se bahut accha traffic le Rha Hu. Blogger SEO ke anusaar aap apne blog ko apne hisaab se control kar sakte hai. Matlab konse Pages, Posts, Labels search me index ho ya na ho ye aap khud decide kar sakte ho. Iska use bahut dhyaan se karna padta hai. Agar SEO setting ko enable karte time choti si galti hone par aapka blog search se ignore bhi ho sakta hai. Isliye is post ko dhyaan se pade aur samjhe.
Sabse pehle hum apne blog ka Meta Tags ko enable karenge jisse aap post karte time post ka description type kar sakte hai jisse google aapki post ko asaani se find kar sakta hai.
BE CAREFULL
Step 1. Go to Dashboard >>> Setting >>> Search Preferences
Step 2. Mata Tags – Enable search description? Click Yes !!!
Meta Description Box me Aap apne blog ke baare me description add kare iska matlab aapka blog kis ke baare me hai. Jisse Google search aapki site ko samajh sakte. Meta Descrption Add Karne ke baad aap apne posts, Pages me Search Decrption add kar payenge jisse Google ko aapke blog ke Posts ko find karne me assani hogi.
Meta Description Add karne ke baad. Aapko Blog ki Crawl & Indexing Ko Enable Karna hai jisse aap
Robots.txt file ko enable kar sakte ho!
Step 3. Crawlers and indexing >>> Custom robots.txt >>> Click Edit “Yes”
Type Robots.txt File : Isse aap apne blog par jakar robots.txt box me past karde jesa ki upar imge me dikha rakha hai. (http://www.YourBlogName.com/sitemap.xml ko replace kar apne blog ka url enter karde)
Note: Agar aapne apne blog me custom domain add nahi kiya hai to aap .blogspot.com use kare !
- User-agent: *
- Disallow: /search
- Allow: /
- Sitemap: http://www.YourBlogName.com/sitemap.xml
Step 4. Enable Custom Robots Header Tags Click >>> Edit >>> Yes See this image:
Ab aapke blog ki advance SEO Setting enable ho chuki hai. Ye setting karne ke baad aapka blog puri trah SEO Friendly ho gya hai. Phir aap Webmaster tools par jakar apne blog ke sitemap submit kare. Jisse aapki all posts puri trah se index ho sake. Kucch hi dino me aapke blog ka Traffic and blog ki rankign bhi incrase hogi.
THANK YOU ALL READERS
Amazing post. I really appreciate your efforts. I haven’t use such software yet but will look into it soon.
ReplyDeleteWebsite Design and Development Companies in Bangalore
ECommerce Web Design Company in bangalore
bahut badhiya post or theme hai apka... ap kon sa theme use karte hain?????
ReplyDeletehello ankit me Simplify 2 Blogger Template use karta hu vese mene yah fully costmize ki hai agar aap bhi ccostmize krwana chahte hai to contact kare thank you
Delete