01 May, 2017

Blog Ko Accha Design Karne Ke Liye 10 Killer Tips

By:   Last Updated: in: ,

Dosto aaj ki post me ham aapko blog designing ke bare me bata rahe hai. Aap hamare bataye gaye tips ko follow kar easily apne blog ko accha design kar skte hai. Accha traffic lane ke liye kewal blog banana hi kafi nahi hai. traffic lane ke liye hame har chhoti badi cheej karni chahiye. jisse ki hamare blog me accha traffic aa sake. in sabhi me blog designing bhi bohat importent hoti hai. Agar ham blog ko acche se design nahi karenge to din be din visitor ka interest hamare blog se kam hota jayega aur ek din aisa aayega jis din aapne blog me bohat kam visitor rah jayege.

  1. Create a Free Website(blog) in 3 Minutes Full Guied in hindi
  2. Blog Ya Website Ki Loading Speed Ko Fast Kaise Kare Jane Hindi Me-100% Working
Blog Ko Accha Design Karne Ke Liye 10 Killer Tips
Blog Ko Accha Design Karne Ke Liye 10 Killer Tips


Ham aapko aise tips batayenge jisse aap ek website ki tarah apne blog ko bana skte hai. visitor ko confusion ho jayegi ki wo ek website me hai ya fir ek blog me. acchi design ki website hame ek nai pahchan de skti hai. lekin website ko design karne ke liye hame iski basic cheeje pata honi chahiye tabhi aap blog ko design kar skte hai.


Blog ko design karne ke liye kuch log sochte hai ki hame iske liye koi course karna padega ya fir iski bohat jyada knowledge honi chahiye tabhi ham blog design kar payenge. lekin aisa sochna aapka bilkul wrong hai. Aap thodi bohat HTML and CSS ki jankari karke ek accha blog design kar skte hai.app mere blog se bhi coding sikh sakte hai chahe wo wordpress blog ho ya fir blogger blog.


  1. HTML Kya Hai In Hindi?...
  2. CSS Code Kya Hai In Hindi?...


Mai is post me apko 10 aise tarike batane ja raha hu. jo apke blog ko behad simple aur khoobsurat bana denge.

Blog Design Karne Se Kya Fayde Hai...?

Blog design karne se aapko fayde hi fayde hai. jab aap blog ko acche se design karege aur pahli bar aapke blog par koi visitor aayega aur use apke blog ki speed aur designig acchi lagegi toh wo visitor aapke blog me fir se aana chahega. isse apke blog ka traffic increase hoga aur pageview badege aur apki site ki rank increase hogi.
  • Agar aap blog ko acche se design kar ek website ki tarah bana dete hai. to visitor apke blog ko ek website samjega aur apke blog par bar bar aana pasand karega.
  • Visitor Websites ki post hi jyada share karta hai. mai ye nahi kah raha hu ki blogs ki post share hi nahi hoti hai. lekin agar blog jyada attrective hoga tabhi aapko sharing bhi milegi.
  • Blog ki design simple hone se apke blog ki speed bhi increase hogi. aur wo slow connection me bhi achhe se open hoga.
  • Jab Visitor ko design pasand ayegi tab wo apki old post par bhi dhyan dega jisse visitor kuch der aur apki blog par rukega jisse ki bounce rate badegi.

    Top 10 Tips Blog Ko Accha Design Karne Ke Liye

    Pahli baat toh aap website ko accha design karne ke liye hamesha popular blogs ko dekhte rahe ki wo kya kya new widget apne site me karte hai. aur yaha par mai aapko importent 10 tips bata raha hu jo ki sabhi bloggers use karte hai.


    #1 Blog Template
    Aapko internet me na jane kitni sites mil jayegi jaha se aap simple theme ke template download kar skte hai. aap template select karne se pahle aap uska demo check kare aur template ki speed check kare aur dekhe ki kitni der is template ko load hone me lgti hai. agar jyada der me template open ho rahi hai toh aapko aise template nahi download karni chahiye. Aap aisi template download kare jise aap acche se desing kar ske aur fast loading bhi ho.


    #2 Blog Navigation Menu
    Blog ko navigation se bhi visitor kafi attrect hota hai. maine kuch blog toh aise dekhe hai jo navigation menu par bilkul dhyan hi nahi dete hai bas aise hi template upload kar dete hai. aur template wale menu hi usme dikhne lagte hai. aise me hamare blog me kafi effect padta hai. aur visitor kam ho jate hai. isliye navigation menu ko apne blog ke categories ke hisab se hi acche se set kare.
    #3 Blog Header Image

    Agar aapko photoshop ki acchi knowledge hai. to aap apne blog ke liye ek accha sa logo design kar le. ya fir kai websites aisi hai jaha se aap free me acche logo bana skte hai. blog header image bilkul simple si honi chahiye jisse ki visitor header image ko hi dekhkar samjh jaye ki blog kis topic par hai.


    #4 Popular Post Widget
    Blog me popular post widget bohat hi jaruri hota hai. isse jo bhi apke blog ki post sabse jyada read ki gayi hogi. wo visitor ke samne ek alag jagah show hone lagegi. jisse agar koi visitor fir se aisi post padhna chahe toh wo popular posts se padh skta hai. is liye aap acchi style ka popular post widgets apne blog me jarur add kare.


    #5 Previous & Next Post Buttons
    Blog me previous aur next post buttons hone bhi bohat jaruri hai. isse visitor aapki old posts bhi badi asani se padh payega. agar old post padhi jayegi isse apke blog ka traffic aur increase hoga. isliye ise bhi ek bar jarur try kare. vese jyadatar templates me previous aur next buttons add hoti hai. agar apke template me nahi hai toh aap coding ke jariye add kar skte hai.


    #6 Email Subscribe Widgets
    Email Subsribe Widget ko hamesha side bar me add karna chahiye. kuch log toh kahi bhi email widget add kar dete hai. lekin email subscribe widget add karne ki sahi jagah side bar hi hoti hai. email widget add karne se apke blog ka traffic aur increase hoga. isliye ise try karna na bhule.


    #7 Use Good Background
    Blog ke background ko blog ke topic ke hisab se hi add karna chahiye. mere hisab se background ko aap koi simple color ka hi rakhe. jisse loading fast rahti hai. ya fir aap apne blog topic ke hisab se background add kar skte hai. 
    #8 About Author Box
    Blog post ke neeche author box jarur lagaye. Isse visitor ye jan sakege ki is blog ka writer hai. isse visitor ko aapke uper vishwas hoga. aur aapko jyada jaan skege. author box me hamesha blog banane ka reason likhe.
    #9 Add Beautiful Footer
    Blog ko accha karne ke liye aap stylist footer ka use kare. aur footer me about us jaisi cheeje add kare. isse aapke blog ki khoobsurti me aur nikhar aa jayega.

    1. blog me 3 Column Footer Widget Kaise Jode

    #10 Use Fit Size Ads
    Blog me aap aise ads use kare jo bilkul aapke site me fit ho. iske liye aap responsive ads code use kare. jisse apke blog me screen ke hisab se ads dikhege. jisse visitor jyada impress honge aur traffic bhi badega.

    THANK YOU ALL READES.....

    No comments:
    Write comment

    Add Your Comments, and Your Thought