SBI account se registered Mobile Number change karne ki pahli method main aapko already bata chuka hu jisme aap Net banking ke jariye online apna registered Mobile number change kar sakte hain.
Aaj main aapko Registered Mobile number ATM machine ke through kaise change karte hain iske bare me batane ja raha hu.ATM ke through apna SNI registered Mobile number change karne ke liye aapke paas Net banking hona jaroori hai kyun ki first hume Net banking ke jariye apna New Mobile register karna hoga aur fir ATM machine me jakar approve karna hoga.To chaliye step by step jaante hain ki ATM machine par kaise apna SBI registered Mobile Number change kare.
Change SBI Registered Mobile Number Through ATM
1
Sabse pahle SBI Net banking account me login kare. https://www.onlinesbi.com par visit kare aur apna Login ID and password enter kar login kare. Agar aapke paas Net banking nahi hai to wo aap online activate kar sakte hain. Read: SBI Net banking online activate kare
2
SBI Net banking me login karne ke baad Profile tab par click kare.
- Profile tab par Personal Details par click kare. Next screen me aapko apna profile password enter karna hoga.
3
Personal Details me aap Mobile Number option dekh sakte hain, jisme aap apna current number dekh sakte hain.
- Yaha aapko “Change Mobile Number Domestic only (Through OTP/ATM/contact centre)” par click karna hai.
4
Ab agli screen me aapko apna New Mobile Number enter karna hai New Number enter kar submit kare.
5
Ab next screen me aapko number change karne ke liye 3 options show karenge jisme aapko “IRATA: Internet Banking Request Approval Through ATM” option select kar proceed par click karna hai.
6
Ab next screen me aapko apna Bank account number select kar proceed par click karna hai.
7
Next screen me aapko apna ATM/Debit Card number confirm karna hai aur proceed par click karna hai.
8
Ab next screen me aapko apna ATM/Debit card ka 16-digit serial number, Valid thru/expiry date, Card holder name aur Card ka PIN enter karna hai aur proceed par click karna hai.
Ab aapke current registered Mobile number par 10-Digit reference number receive hoga jo aapko ATM machine par jakar enter karna hai aur apna number change approve karna hai.
9
SBI ATM machine par apna ATM/Debit card swipe kare aur PIN enter kar login kare.
- Login karne ke baad Services tab choose kare.
- Services me Others choose kare.
- Others me “Internet Banking Request Approval” select kare.
- Bus apna 10-Digit Reference Number enter kare aur confirm kare.
Done! Aapne successfully ATM ke through apna Registered SBI Mobile Number change kar liya hai. Kuch samay baad aapne New Mobile par confirm message receive hoga.
To dosto kuch is tarah se aap bina bank me visit kiye, bina koi form fill kiye aur wait ke, apna SBI me registered Mobile number change kar sakte hain.
Bhut achi post hai
ReplyDeleteYogesh bhut acchi post hai
ReplyDelete