Ab itna mehnga phone bhala koi wapas kyu dega, wo bhi delhi me (impossible)
Phone ke milne ke chances kam the, isliye hamare liye yahi behtar tha ki Phone ko remotely lock kar diya jaye aur Sara personal data erase kar diya jaye.Bad luck ye tha ki Phone track kerne ke liye location enable nahi thi, warna phone ko track kar sakte the.Aap bhi kabhi aisi situation ko face kar sakte hain, to kyu na jaan liya jaye kaise apne phone ko Internet se track kare, kaise usko Lock kare aur kaise apna sara personal data delete kare.
Andoid Phone Ko Track, Lock Erase Kaise kare?
Aap jab bhi new Android smartphone purchase karte hain to aapko sabse pahle apne google account se phone ki features ko enable karna padta hai like playstore and other functions.Android Google owned operating system hai. Aap Apne smartphone ko google account se connect karte hain to aap ke phone ki sabhi details aapke google account me store ki jati hai.
Google account se phone connect karne ke baad aap apne phone ke kho jane par usko track kar sakte hain, remotely lock kar sakte hain aur phone ko format bhi kar sakte hain.
Step 1) Android Phone Settings
Aapko Android phone me kuch aisi settings hai jo hamesha enable rakhna chahiye.Phone ko purchase kar lene ke baad aapko yah settings enable kar lena jaruri hai tabhi aap phone ko Internet se track, lock and erase kar sakte hain.
1: Location Enable Kare
Apne Phone ki location ko always ON rakhe, khaas kar aap jab kahi bahar travel kar rahe ho.Aapki location enable hogi tabhi aap phone ko Google account se track kar payenge, agar location aapki OFF hai to sorry aap tracking feature use nahi kar sakte.Location ko enable karne ke liye Phone ki settings me jaye aur location option par tap kar enable kare.
2: Android Device manager Enable kare
Android device manager Google ki service hai aur aap phone ko remotely access is service ko enable karne ke baad hi kar sakte hain.Android device manager enable hoga tabhi aap Internet par apne Phone ko access kar sakte hain aur location track, lock and erase kar sakte hain.Android Device manager enable karne ke liye Phone ki Settings me Google option par tap kare.Yaha aapko 2 options show karenge, ye dono option aapko enable karna hai.
- Remotely locate this Device: Phone ko remotely track karne ke liye
- Allow remote lock and erase: Phone ko remotely erase and lock karne ke liye
Android Smartphone me ye dono settings enable karne ke baad ab aap phone ko remotely access kar sakte hain.
3: Internet ON hona jaruri
Phone ko aap remotely handle kar rahe hain isliye aapka Internet on hona jaruri hai, agar internet enable nahi hai to aap Phone ko track nahi kar payenge.
Internet par Phone Track, Lock and Erase Kare
Ab suppose aapka phone kho gaya aur aapke phone me location, Device manager aur internet enable hai to aap phone ko remotely access kar sakte hain.
- Sabse pahle Android Device manager apne browser me open kare, Device manager google ka wo portal hai jaha aap Android phone ko remotely manage kar sakte hain.
- Device manager ko open karne ke baad aap apne phone ko dekh sakte hain.
Phone ko track karne ke liye location icon par click kare, click karte hi phone ki exact location aap map me dekh sakte hain.
1
Ring option par click karne par aap phone ki ring ko play kar sakte hain, aas paas kahi phone rakha ho to aap pata kar sakte hain
2
Lock option se aap phone ko lock kar sakte hain, lock par click kare aur small window me apna new password type kar lock par click kare.
3
Erase option se aap phone ko completely format kar apna personal data, Apps, contacts, account sab kuch delete kar sakte hain.
Note: Erase option use karne ke baad aapka phone Android Device manager se permanent disconnect ho jayega, isliye is option ka tabhi use kare jab aapko important personal data delete karna ho.
To is tarah se aap apne Android phone ke kho jane par uski location track kar sakte hain, lock kar sakte hain aur jarurat padne par format kar sakte hain
Hello, Yogesh i'am mukesh aapne ish blogspot par konsi theme install kar rai hai.. badhiya theme hai. Iski ek xml copy mere whats app no +917568170500 par send kana. Thanks
ReplyDeleteThank you mukesh and yah theme nhi h yah tempalet h and me iski copy whats app par nhi bhej skta yh paid tempaley h sorry
ReplyDeleteIt's Ok... I able to give Cooperation amount. I'am already have many good template. But i want to start a technical website so i think it's theme right for my website. You can check my website www.12thcbseresult.in
ReplyDeleteHello mukesh me tempalet Bhejta hu 2 day letter
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDelete