16 April, 2017

Blog Ya Website Ki Loading Speed Ko Fast Kaise Kare Jane Hindi Me-100% Working

By:   Last Updated: in: , ,

Jyada loading time lene wali websites ko jyadatar visitors like nahi karte aadhe se jyada visitor ko weh site pasand nahi aati. Uska karan yahi hai aapki site ki loading speed time ka badna. Loading speed time ka jyada hona Google Ranking me bhi iska side effect padta hai isse aapki search rank down hoti chali jaati hai. Agar aapko apni site ki rank & Google Search rank ko incrase karna hai to aap sabse pehle aap apni site ki loading speed time ko kam rakhne me jyada dhyaan de. Aaj hum is topic me Website ya blog ki loading speed time ko kaise kam rakhe is baare me janenge.


Website/Blog Ki Loading Speed Time Ko Kam Kaise Kare Jane Hindi Me Hitmeindia

Website/Blog Ki Loading Speed Time Badne Ke Karan!

Aap ye jarur janna chayenge ki akhir website ya blog ki loading speed automatic kyu badti hai. Ha sites creat hone ke 20 – 30 days ke baad sites ki loading speed me farak aa jata hai. Iska karan hai

1. Delay Hosting Servers
Kucch hosting’s compney ke server slow load hote hai. Ye problem aapki ya aapki site ki nahi hoti jaha se aap hosting buy karte hai un compney ke hosting server pehele se hi late hota hai.
1. Extra Widgets
Website ya Blog me jyada widgets use karna website slow open hone ka sabse bada karan me se ek hota hai. Kyu ki widgets ke link original site se redirect hote hai.
2. Extra Advertisement Place
Apni website ya blog me Jyada ads place karna ye bhi ek important karan hai. Kyu ki ads ke banner IFrame ya Script code se opne hote hai jo pehle apne ad network server se redirect hote hai.
3. Extra Loading Theme/Template
Website ya blog ke liye sabse important hai Site ka design kyu ki site ke design se hi site ki buatiness show hoti hai. Internet par bahut si esi theme mil jaati hai jinki loading speed time kafi late hoti hai. Isliye Koi esi theme site par na lagaye jinke java script open hone me time lage.
4. Daley Links
Daley links ka matlab hai. koi esi links jo open hone me ya server se connect hone me time le.
5. Extra Posts Show in Your Site HomePage
Jitne jyada posts home page par show hogi. Utna hi website late open hogi kyu ki post ke saath image, Java script ya koi code bhi open hote hai.

Website/Blog Ki Loading Speed Time Ko Kam Karne Ke 5 Ideas !!!

Ye saari baate padne ke baad aap jan gaye honge ki website ki loading speed time kyu badti hai. Aap in sab suggestion ko follow karke apni website/blog ki loading speed time ko kam rakh sakte hai.
1. Choose Best Hosting Provider
Aap apni website ya blog ke liye sahi hosting provider choose kare agar aap blogging me new hai to kisi webmaster/blogger ya hosting compney ke review pad kar bhi aap sahi website provider ko select kar sakte hai.
2. Use Only Important Widgets
Hum site ki facility ya design ko accha rakhne ke liye usme bahut saare widgets example: Facebook Widgets, Twitter Widgets ya phir Online Visitor Counter Widgets add kar lete hai. Lakin ye sab site ki loading speed time ko badate hai to aap only important widgets ko hi add kare.
3. Select Responsive & Mobile Friendly Theme
Apni website ke liye sahi theme ka use kare. Agar aapko lagta hai ye theme open hone me time le rahi hai to koi dusri theme ka use kare.
4. Removed Delay Sites Links
Apni website se esi sites ka link remove kare jo redirect hone me time le rahi ho aur wo jyada important na ho!
Jesa ki upar site speed test karne ki online websites de rakhi hai aap in sites me jakar apni website ki speed test kar sakte hai aur apni website ki loading speed time ko kar sakte hai.
I hope agar aapko meri ye post acchi lagi to pleaes aap ye post ko share jaru kare agar topic ke relted koi bhi problem ho to aap comment jaru kare!

No comments:
Write comment

Add Your Comments, and Your Thought