21 October, 2017

Kya Urdu Website Par Google Adsense Use Kar Sakte Hai❓..

By:   Last Updated: in: ,

Good News! Ab Google Adsense Urdu Support Karta Hai. Yes, main bat kar raha hu urdu language ki ab aap urdu website or blog par bhi google adsense istemal kar sakte ho.Ab aapko google me Kya Google Adsense Urdu Support Karta Hai, Kya Urdu Site Par Adsense Ads Laga Sakte Hai, Kya Urdu Blog Par Adsense Se Earning Kar Sakte Hai jaise sawal search karne ki jarurat nahi hai in sabhi sawalo ka jawab aapko yaha mil jayega. Ab aap urdu blog par bhi adsense se earning kar sakte ho. Google ki official adsesne blog par June 28, 2017 Adsense Now Understands Urdu page me iska announcement kiya gaya hai. Ye India, Pakistan, and many other countries me Urdu language istemal karne wale millions people ke liye good news hai. Ab Aap Urdu Website Par Bhi Adsense Ads Laga Sakte Ho.

Google ke anusar Urdu content pichle kai saalo (Last few years) se achhi progressing kar raha hai. Logo ka urdu content pahle se jyada interest badh raha hai. India, Pakistan and many countries me millions people urdu bolte or likhte hai. Internet par bhi aapko bahut si urdu websites mil jayegi jin par achha traffic bhi hai. Is sabko dekhte huye google apni adsense earning urdu content par adsense ads allow karke increase karna chahata hai.



    Agar aap urdu websitre run karte hai ya fir aapka koi urdu blog hai or aap urdu language me content likhte ho to ab aap apni site par adsense ads istemal kar sakte ho. Iske liye aap same other language ki tarah adsense account ke liye appky karna hai. Bas yaad rahe aapki site google adsense policy follow karni chahiye.

    Ab Urdu Website Par Bhi Google Adsense Istemal Kar Sakte Hai

    Yes, ab aap urdu website ko bhi monetize kar sakte ho or us par adsense ads ka istemal kar sakte ho. Google relevant ads ka istemal kar earning kar sakte ho.
    Google pay per click advertisement programs me sabse better program hai or sabse jyada log ise hi like karte hai. Har website owner or blogger apni site par google adsense istemal karna chahata hai. Magar language jaisi kai problems ki wajah se use nahi kar pata.


    Urdu Website Par Adsense Kaise Use Kare

    Agar aap soch rahe hai ki urdu website blog par google adsense kaise istemal karna hai to main aapko btaa du iski process same wesi hi hai jaisi other language ke liye hoti hai. Jaisa ki main third paragraph me bta chuka hu ki aapko same other language wali process ki tarah adsesne ke liye apply karna hai.
    Is bich bas aapki site adsense terms follow karni chahiye. Agar aapki site adsense policy violation karti hai to aapko adsense account approve nahi hoga. Aapko bas ye 3 steps follow karne hai.
    1. First aap google Adsense program policy read kare.
    2. Uske bad Google Adsense ke liye Sign Up Kare.
    3. Ab Adsense Code ko apni site par add kare or kuch time wait kare.
    Ab kuch time bad aapko adsense approval ka mail mil jayega. Adsense account ko approve hone me 1-5 day ya 1-2 week bhi lag sakte hai.
    Kuch log hote hai jinhe wishwas hota hai ki ek din unhe apne kaam ka fal jarur milega or yakinan aesa hota hai ye sab un sabhi logo ke liye bahut achhi jankari hai jo picvhle kafi time se urdu blogging ya kisi or type ki urdu website run kar rahe the.
    Ek person jo pichle kafi time se urdu content likh raha hai wo bhi chahata to hai ki adsense ka istemal kare magar adsense urdu support nahi karta tha. Ye news uske liye kitni important hogi or use is bare me jan kar kitni khushi hogi.


      Agar aap ye sab samajh sakte ho to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare taki har urdu site owner ko iske bare me pata chal sake. No worry is kaam me only 2 second ka time lagega.

      No comments:
      Write comment

      Add Your Comments, and Your Thought