22 October, 2017

Kya Pop-up or Pop-Under Pages Me Adsense Ads Laga Sakte Hai

By:   Last Updated: in: ,

Aapne bahut se google publisher ki websites or blogs par dekha hoga ki wo pop-up and pop-under pages me adsense ads show karte hai. Ye sab dekh kar aapke man me ye sawal jarur aata hai ki Kya Google Adsense Pop up or Pop Under Page Me Ads Allow Karta Hai? Agar yes to ye post aapke liye hi hai kyuki main yaha aapko pop-up & po-under web page me adsense use karne na karne ke bare me details se bta raha hu taki aapko sahi se samajh aa sake. To chaliye ab hum jante hai ki google adsense ads ko popups and pop-under pages me laga sakte hai ya nahi.

Google adsense humesha se yahi chahata hai ki uske ads ki wajah se humari site ke visitors ko koi problem nahi ho or shayad har ek website owner bhi yahi chahata hai but jyada earning ke lalach me aa kar kuch adsense publisher error 404, contact, about page etc. par bhi ads laga lete hai jo ki google adsense bilkul allow nahi karta.

    Theek wese hi aaj kal bahut se adsense publisher website ya blog ke pop-up ya fir pop-under pages me adsense ads display karne lage hai jo ki simply adsense policy ka violation hai or iaesa karne se adsense account deactivate ya suspend bhi ho sakta hai.


    Kya Pop-up or Pop-Under Page Me Adsense Ads Use Kar Sakte Hai

    Hal hi main google team ne apne official adsnese blog par Clarification Around Pop-Unders page me isko clear kiya hai or saaf tor par btaya hai ki pop-up ya po-under page me adsense ads istemal karna adsense policy ke against hai or isse bilkul aapka adsense account band ho sakta hai.
    Google users ko utni hi value deta hai jitni ki advertiser ot publisher ki di jati hai or wo chahata hai ki uske advertisement se users ko koi pareshani nahi honi chahiye. Users ki pasand ke hisab se hi google adsense ki policy banti hai taki visitors adsense ads ko like kare or aap or jyada kama sako.
    Yaha main aapk obtana chahunga ki pop-up and pop-under page me ads kaise use add karte hai. Agar aapko aesi glati kar rahe hai to use abhi theek kar le.
    • Pop-up Ads: Adsense ads ko pop-up size ki screen me show karna jaise ki hum email subscrive widgets use karte hai.
    • Pop-Unders: Website par pop-ups pages bana kar unme adsense ads istemal karna taki user ka dhyan ad ki or jyada jaye or wo ad par click kare. Isme page me kuch content likh kar ad laga diya jata hai.
    But kuch adsense publisher front page par pop-ups me adsense ads add karke user ko attract karne ki koshish karte hai taki wo jyada kama sake or ek dusre ko dekh kar baki kuch log bhi aesa hi karte hai. So un logo ko meri salah hai ki wo aesa karna band kar de warna unka adsense account band ho jayega.
    Google adsense aesi websites ko adsense ads show karne ki permission bilkul nahi dega jo pop-unders pages me ad show karti ho. Agar koi aesa karta hai to uski site par se ads show hona band ho jayenge ya fir uska adsense account disable ya suspend kar diya jayega.
      1. HTML Kya Hai In Hindi?... 
      2. Computer Me Bad Websites Ko Block and Filter Kaise Kare-Full Guied In Hindi 
      Agar aap kisi big adsense publisher ki site par is type ke ads dekhe to use ignore kar de kyuki google badi sites par ekdam se action nahi leta hai first use warning di jati hai or uske bad agar wo issue ko solve nahi karta hai to adsense service band kar di jati hai.
      Is jankari ko apne sabhi adsense publisher friends ke sath share kare taki unko bih iska pata chal sake.

      No comments:
      Write comment

      Add Your Comments, and Your Thought